1 Pāṅch din ke bād imām-e-āzam Hananiyāh, kuchh Yahūdī buzurg aur ek wakīl banām Tirtullus Qaisariyā āe tāki gawarnar ke sāmne Paulus par apnā ilzām pesh kareṅ. 2 Paulus ko bulāyā gayā to Tirtullus ne Feliks ko Yahūdiyoṅ kā ilzām pesh kiyā,
10 Gawarnar ne ishārā kiyā ki Paulus apnī bāt pesh kare. Us ne jawāb meṅ kahā,
17 Kaī sāloṅ ke bād maiṅ Yarūshalam wāpas āyā. Mere pās qaum ke ġharīboṅ ke lie ḳhairāt thī aur maiṅ Baitul-muqaddas meṅ qurbāniyāṅ bhī pesh karnā chāhtā thā. 18 Mujh par ilzām lagāne wāloṅ ne mujhe Baitul-muqaddas meṅ dekhā jab maiṅ tahārat kī rusūmāt adā kar rahā thā. Us waqt na koī hujūm thā, na fasād. 19 Lekin sūbā Āsiyā ke kuchh Yahūdī wahāṅ the. Agar unheṅ mere ḳhilāf koī shikāyat hai to unheṅ hī yahāṅ hāzir ho kar mujh par ilzām lagānā chāhie. 20 Yā yih log ḳhud batāeṅ ki jab maiṅ Yahūdī adālat-e-āliyā ke sāmne khaṛā thā to unhoṅ ne merā kyā jurm mālūm kiyā. 21 Sirf yih ek jurm ho saktā hai ki maiṅ ne us waqt un ke huzūr pukār kar yih bāt bayān kī, ‘Āj mujh par is lie ilzām lagāyā jā rahā hai ki maiṅ īmān rakhtā hūṅ ki murde jī uṭheṅge.’ ”
22 Feliks ne jo Īsā kī rāh se ḳhūb wāqif thā muqaddamā multawī kar diyā. Us ne kahā, “Jab Kamānḍar Lūsiyās āeṅge phir maiṅ faislā dūṅgā.” 23 Us ne Paulus par muqarrar afsar *Sau sipāhiyoṅ par muqarrar afsar. ko hukm diyā ki wuh us kī pahrādārī to kare lekin use kuchh sahūliyāt bhī de aur us ke azīzoṅ ko us se milne aur us kī ḳhidmat karne se na roke.
24 Kuchh dinoṅ ke bād Feliks apnī ahliyā Drūsillā ke hamrāh wāpas āyā. Drūsillā Yahūdī thī. Paulus ko bulā kar unhoṅ ne Īsā par īmān ke bāre meṅ us kī bāteṅ sunīṅ. 25 Lekin jab rāstbāzī, zabt-e-nafs aur āne wālī adālat ke mazāmīn chhiṛ gae to Feliks ne ghabrā kar us kī bāt kāṭī, “Filhāl kāfī hai. Ab ijāzat hai, jab mere pās waqt hogā maiṅ āp ko bulā lūṅgā.” 26 Sāth sāth wuh yih ummīd bhī rakhtā thā ki Paulus rishwat degā, is lie wuh kaī bār use bulā kar us se bāt kartā rahā.
27 Do sāl guzar gae to Feliks kī jagah Purkiyus Festus ā gayā. Tāham us ne Paulus ko qaidḳhāne meṅ chhoṛ diyā, kyoṅki wuh Yahūdiyoṅ ke sāth riāyat baratnā chāhtā thā.
<- Āmāl 23Āmāl 25 ->-
a Sau sipāhiyoṅ par muqarrar afsar.